“Wo Jo Teri yaad me ji liya, Wo haseen sirf ek pal tha
Wo Jo ab laut k na aega kabhi, Wo meri zindagi ka kal tha”
Shayad hi sheher mein aisa koi nadaan ho
Jo ishq kar k kahe – khuda na kare koi nuksaan ho
Par Jo Doosri baar bhi hoti to tum hi se hoti
Main jise beintehaan kehti hoon, uska intahaan na lo
Tujhe apne dil ki khabar mere dil se mil jayegi Ghalib
Par jo main rooth jaun kabhi to mujhe manane ki khatir rishta to bana lo
Zara nazook mizaaz hai mere ishq ka, Aqal ka bojh nahi utha paega
Haqikat mein shamil kar k ise saza na suna do
Kaisa intazaar tha ye, tujse milne ko jab beqaraar tha dil
Mausam nahi badla, tujse mil k bhi usi haal mein hai dil
Kaun kehta hai khamoshiyan bolti Hain
Idhar hum sadiyon se khamosh Hain aur wo sadiyon se bekhabar
Teri talkhi ab chubhne si lagi hai, ya ye mere takhayyul ki hai jurrat
Darr hai ki Jis Vasl se kareeb aaye the usi vasl se na ho jaaye furqat
“Jo raakh sa bikhar Gaya, Kya wo ishq tha ek vehem
Ki ab tere intazaar mein din bhi kat jaate hain aur raten bhi…”