Khamoshi – Ek Saza

Image from Seema Pillay
483ed-whatsapp2bimage2b2018-01-022bat2b11-24-032bam
“Truth is like surgery, it hurts but cures.
Life is like painkiller, it cures but has side effects forever”
– Anonymous
Khamoshi…ek Saza…

Wo shaam aayi aur chali bhi gayi
Kassamh se…dard aaj bhi wahin hota Hai
Bin kuch kahe aaj fir subah ho gayi
Waqt nahi badla, dil aaj bhi us dard pe rota hai

Zindagi ye nayi, lagne lagti hai purani
Aaj bhi…aaj bhi jab zikra tera hota hai
Haq bhi hai aur ab marzi bhi hai meri
Ab to jaam le kar hi deedaar tera hota hai

Ab kabhi yaad aye to aankhen band kar Lena
Band aankhon k zariye bhi bhot kuch hasil hota Hai
Manzil teri, raaste tere, koshish bhi teri
Fir bhi ye dard mujhe kyon hota Hai

Ajeeb si Khushi hai aaj tere dum pe ae ajnabee
Is mod pe ye haadsa kisi kisi k saath hi hota hai
Tab jo bol k na nibha paye…
Dekh lo – wo ab khamoshi se bayan hota hai

Itni shiddat se chahne ka sila dekh liya aaj
Ye khwaab kahan kisi ka poora hota hai
Kuch hasil ho na ho, itna zaroor seekha Hai
Is mukaam pe har insaan rota Hai

Khwaab hi Hai, ise khwaab hi rehne do
Tootata hai ye to dard bada hota hai

Fir sambhlne ka dum is nacheez mein nahi
Baar baar alvida kehna aasaan nahi hota hai

Advertisement