Kuch khwaishen aisi..

Image from Seema Pillay

c6b5b-whatsapp2bimage2b2017-08-212bat2b12-57-322bpm

“It isn’t hard at all to make a wish. The difficultly lies in how to make what you wish for a reality.”
– Catherine Pulsifer
Intazaar karte hue lamhe beet gaye
Hazaron Khwaishen aisi jinse ab vasta na raha
Yun to Kai kirdaar nibhaye hain zindagi ke chalte
Haan par kuch aise bhi hain jahan ab diye nahi jalte

Khushiyon ko awaaz laga k dekh liya kya naseeb hai
Ab zara dard ko pukaar k dekhen wo kitne kareeb hain
Ye hamari nawaazish hai ki hum ab nahi pukarte us khuda ko
Ki ab unse waabaastaa hi nahi jo aapke liye tabeeb hain

Suna hai aap maahir hain diye bujhane mein
To ab Bekafan hi dafna dena, kyunki
Kuch giley aise hain jinki ab shikayat hi nahi
Bas Isliye hame ab taaboot ki zarurat bhi nahi

Apne aks ko dekhkar itna andaaza lagana to seekh hi liya hai
Saath ki zaroorat to har shaks ko hoti hai
Itni khudgarz bhi nahi meri tanhaayi
Ki mile bagair hi faisala suna de

Kuch arzoo hamne akhiraat ke liye chod diye
Ki kuch ehmiyyat to hogi hamare saath ki
Aasaan to nahi tha par aasaar zaroor mile the
Ye mehez jazbaat to nahi ho sakte
Koi to wajah hogi hamari mulaqat ki