“How happy is the Blameless vestal’s lot!
The world forgetting, by the world forgot.
Eternal sunshine of the Spotless mind!
Each prayer accepted, and each wish resigned: “
– Eloisa to Abelard, Alexander Pope, 1717.
Fanaa hoon…
Ye dard hai kahan kahan jo dawa doon
Samjh lo to Pyaar karne ki raza hoon
Na samjho to dard sehne ki saza hoon
Pi lo to aankhon ka Nasha hoon
Ji lo to jeene ki wajah hoon
Haan ab Tumse mil kar bhi Juda hoon
Aur ab is baat par khud se hi Khafa hoon
Khush reh kar bhi gamon ka silsila hoon
Dard ji kar bhi khushiyon ka raabta hoon
Maan lo to bas quatra hoon
Jaan lo to zindagi ka aashna hoon
Shabnam ki oas me lipta qahr hoon
Qainaat me jo na ghul paye wo zehr hoon
Teri khamoshi kehti h tera kasoor hoon
Jo alfaaz me na bayaan ho wo fitoor hoon
Aagaaz ko na dekh, ab to har pal anjaam hoon
Aaj Ishq mein tere kuch is tarah fanaa hoon